Jaldi Shadi Hone Ka Wazifa

Agar kisi larkay ya larki ki shadi main bohat mushkilain hon aur kisi tarah se rishta tay na hota ho tou aisay main Asar ki namaz ke baad 21 – 21 times Darood (pehle aur baad) phir 1 baar buland awaz se Surah Al-Ahzab ki tilawat kare aur musalsal 11 din amal kare. Insha’Allah in 11 dinon main rishta ho jaye ga.

note: namaz ki pabandi shart hai……. ye amal khilwat (tanhai) main kare.

Pasand Ki Shadi Ho Kar Rahe

Agar koi pasand ki shadi (love marriage) main masayel ka shikar ho aur apni pasand ki shadi ke elawa kahin aur shadi ka sawal hi paida na ho tou chahiye ke subah fajar ki namaz ke baad 786 martaba

parh kar Allah se apne maqsad ke liye dua kare. Ye wazifa shuru aur khatam karte waqt koi sa Durood 101 baar. Aur raat sotay waqt 300 baar
Ya Lateefu Ya Salamu parh kar dua kare aur shadi ka tasawar kar ke so jaye.

Muddat Amal: 40 yoom hai. Insha’Allah isi arsay main pasand ki shadi ho jaye gi.
note: Namaz ki pabandi lazim hai aur is amal ka kisi par izhar na kare, baghair baat cheet kiye so jaye.