Is post main darj shuda tamam marriage wazaif ki ijazat ke liye mandraja zail hidayaat par amal karna lazim hai.
- 5 waqt ki namaz ki pabandi
- Zahir aur batni tamaam gunahon se parhez
- Kasrat-e-Durood Salam
- Sadqa aur khairat ki pabandi
- Jo wazifa parha jaye sahi talafuz aur makharij se parhain
- Jo tadad bayan ki jaye us ki pabandi aur muddat-e-amal ke liye ayaam ki pabandi
- Dunyawi mamlaat ke muqablay main akharwi mamlaat ko tarjeh de.